koi tuti hui kashti ka takhta bhi agar hai la abhi sahil pe hai to aur pesh-az-marg wawaila andheri raat se darta hai mir-e-karwan ho ke andhera hai to apne dagh-e-dil ki raushni phaila na ghabra tirgi se tu qasam hai sang-e-aswad ki ki tariki hi mein soi hai sham-e-gesu-e-laila mazaq-e-shadi-o-gham ta-kuja ai khak ke putle jo in donon se baala-tar hon aisi bhi koi shai la sharab-e-asr-e-nau mein be-khudi hai nai khudi saqi jo tu ne aaj se pahle pilai thi wahi mai la man andaz-e-qadat-ra mi shanasam mard-e-afrangi ki kapde saf hain lekin badan napak dil maila kisi ka naz-e-husn aur ai 'shafiq' apna ye kah dena ki qimat mein agar dil ke barabar ho koi shai la