panw le aae mujhe wadi-e-pur-khar ke pas sar mein sauda hai ki chaliye usi diwar ke pas mohtasib zid se teri dil mein yahi aata hai mai-kashi ja ke karen teri hi diwar ke pas ye nai tarz-e-sitam tum ne nikali sahib mera khat jate ho padhwane ko aghyar ke pas fasl-e-gul aai hai phir dasht-nawardi ho nasib panw ke aable pahunchaenge phir khar ke pas na utha hum ko ki sae ki tarah se bekar ek muddat se pade hain teri diwar ke pas dur se dekhte hi mujh ko kaha dur us ne ab na jaenge kabhi aise dil-azar ke pas