koi wahshi chiz si zanjir-e-pa jaise hawa

koi wahshi chiz si zanjir-e-pa jaise hawa
dur tak lekin safar ka silsila jaise hawa

band kamre mein paraganda khayalon ki ghutan
aur darwaze pe ek aawaz-e-pa jaise hawa

girti diwaron ke niche sae jaise aadmi
tang galiyon mein faqat aks-e-hawa jaise hawa

aasman-ta-asman sunsan sannate ki jhil
daera-dar-daera meri nawa jaise hawa

do larazte hath jaise saya phailae shajar
kanpte honton pe ek harf-e-dua jaise hawa

paniyon mein dubti jaise ruton ki kashtiyan
sahilon par chikhti koi sada jaise hawa

kitna khali hai ye daman jis tarah daman-e-dasht
kuchh na kuchh to de use mere khuda jaise hawa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close