wo mard hai jo kabhi shikwa-e-jafa na kare labon pe dam ho magar nala-o-buka na kare kisi ka mujh pe kuchh ehsan ho khuda na kare dawa to kya mere haq mein koi dua na kare kahan se jaan pade zindagi ke murdon mein ada-e-husn qayamat agar bapa na kare ada-e-be-khabari hai ki ek tilism-e-jamal nigah-e-shauq se waqif hon wo khuda na kare gharaz mujhe na dar-e-tajdar tak le jae salam karne ki hajat pade khuda na kare koi azab-e-jahannam mein mubtala ho jae uruj pa ke zamin par gire khuda na kare na dil mein dard kisi ke liye na pas-e-wafa hum aise aarif-e-khud-kaam hon khuda na kare buzurg ban ke main baithun ye ho nahin sakta koi bada mujhe samjhe 'jigar' khuda na kare