kuchh is ada se aaj wo pahlu-nashin rahe jab tak hamare pas rahe hum nahin rahe iman-o-kufr aur na duniya-o-din rahe ai ishq-e-shad-bash ki tanha hamin rahe aalam jab ek haal pe qaem nahin rahe kya khak e'tibar-e-nigah-e-yaqin rahe meri zaban pe shikwa-e-dard-afrin rahe shayad mere hawas thikane nahin rahe jab tak ilahi jism mein jaan-e-hazin rahe nazren meri jawan rahen dil hasin rahe ya-rab kisi ke raaz-e-mohabbat ki khair ho dast-e-junun rahe na rahe aastin rahe ta-chand josh-e-ishq mein dil ki hifazaten meri bala se ab wo jununi kahin rahe ja aur koi zabt ki duniya talash kar ai ishq hum to ab tere qabil nahin rahe mujh ko nahin qubul do-alam ki wusaten qismat mein ku-e-yar ki do-gaz zamin rahe ai ishq-e-nala-kash teri ghairat ko kya hua hai hai araq araq wo tan-e-naznin rahe dard-o-gham-e-firaq ke ye sakht marhale hairan hun main ki phir bhi tum itne hasin rahe allah-re chashm-e-yar ki mojiz-bayaniyan har ek ko hai guman ki mukhatib hamin rahe zalim utha tu parda-e-wahm-o-guman-o-fikr kya samne wo marhala-ha-e-yaqin rahe zat-o-sifat-e-husn ka aalam nazar mein hai mahdud-e-sajda kya mera zauq-e-jabin rahe kis dard se kisi ne kaha aaj bazm mein achchha ye hai wo nang-e-mohabbat yahin rahe sar-dadgan-e-ishq-o-mohabbat ki kya kami qatil ki tegh tez khuda ki zamin rahe is ishq ki talafi-e-mafat dekhna rone ki hasraten hain jab aansu nahin rahe