koi yaad hi rakht-e-safar thahre koi rahguzar anjaani ho jab tak meri umr jawan rahe aur ye taswir purani ho koi naw kahin manjdhaar mein dube chand se uljhe aur udhar maujon ki wahi halqa-bandi dariya ki wahi tughyani ho isi raat aur din ke mele mein tera hath chhute mere hathon se tere sath teri tanhai ho mere sath meri virani ho yun khana-e-dil mein ek khushbu aabaad hai aur lau deti hai jo baad-e-shimal ke pahre mein koi tanha raat ki rani ho kya dhundte hain kya kho baithe kis ujlat mein hain log yahan sar-e-rah kuchh aise milte hain jaise koi rasm nibhani ho hum kab tak apne hathon se khud apne liye diwar chunen kabhi tujh se hukm-uduli ho kabhi mujh se na-farmani ho kuchh yaaden aur kitaben hon mera ishq ho aur yarane hon isi aab-o-hawa mein rahna ho aur sari umr bitani ho