zat us ki koi ajab shai hai jis se sab waqai ajab shai hai waqai aashiqi ajab shai hai aashiqi waqai ajab shai hai jis ke dil ko lagi wahi jaane jaan-e-man dil-lagi ajab shai hai is mein hargiz nahin hai ja-e-sukhan al-gharaz khamushi ajab shai hai be-khudi gar ho khud to aa ke mile ai khuda be-khudi ajab shai hai us pe marta hun waqt-e-bos-o-kanar tera kahna na ji ajab shai hai ek se tis din nibah ki dost ek se dosti ajab shai hai munh pe kah dena aib aib hai ye aib-poshi aji ajab shai hai kya dhuan-dar shola-ru hai bana udi poshak bhi ajab shai hai aarsi us se ahl-e-did ko hai mat kaho aarsi ajab shai hai sarw ko us ke qad se kya nisbat munsifo rasti ajab shai hai qibla-o-kaba is ko samjhe hai haram-e-shaikh-ji ajab shai hai ek bosa na do na tin na chaar yar ji munsifi ajab shai hai hont hote hain waqt-e-khanda juda chup bhali khamushi ajab shai hai