raat kya soch raha tha main bhi apne aalam ka khuda tha main bhi wo bhi kuchh khud se alag tha jaise apne sae se juda tha main bhi wo bhi tha ek waraq sada kitab harf-e-be-saut-o-sada tha main bhi surat-e-shakh-e-samar-dar tha wo surat-e-dast-e-saba tha main bhi wo bhi ek halqa-e-girdab mein tha aur bas dub chala tha main bhi phul khilne ka ajab mausam tha aaina dekh raha tha main bhi