koi yaqin kare kyon kisi gawahi pe mujhe yaqin nahin jab apni be-gunahi pe uthe na zill-e-ilahi pe ungli ab koi ye harf haar ka aae kisi sipahi pe nishan rahi ke rahon pe ho na ho lekin nishan rahon ke aksar milenge rahi pe ada ye sikh hi leta agar pata hota saron ke dam to lagne hain kaj-kulahi pe rahunga jashn-zada main bahane kya kam hain tu raqs dekhna mera meri tabahi pe ye zakhm riste hain mere qalam zariya hai guman khun ka hona hi hai siyahi pe