tamir hum ne ki thi hamin ne gira diye shab ko mahal banae sawere gira diye kamzor jo hue hon wo rishte kise aziz pile pade to shakh ne patte gira diye ab tak hamari umr ka bachpan nahin gaya ghar se chale the jeb ke paise gira diye patthar se dil ki aag sambhaali nahin gai pahunchi zara si chot patinge gira diye barson hue the jin ki tahen kholte hue apni nazar se hum ne wo chehre gira diye shahr-e-tarab mein raat hawa tez thi bahut kandhon se mah-washon ke dupatte gira diye tab-e-nazar ko hausla milna hi tha kabhi kyun tum ne ehtiyat mein parde gira diye