koi zari suni nahin jati koi jurm muaf nahin hota is dharti par is chhat ke tale koi tere khilaf nahin hota kabhi damken sone ke zarre kabhi jhalke murghabi ka lahu kai pyase kab se khade hain magar pani shaffaf nahin hota koi zulf ade to bikhar jaana koi lab dahken to thithur jaana kya tazkiya karte ho dil ka ye aaina saf nahin hota kai mausam mujh par guzar gae ehram ke in do kapdon mein kabhi patthar chum nahin sakta kabhi izn-e-tawaf nahin hota yahan taj us ke sar par hoga jo tadke shahr mein dakhil ho yahan saya huma ka nahin padta yahan koh-qaf nahin hota