mujh ko talab to nai duniya ki hai rahbari naqsh-e-kaf-e-pa ki hai baadiya-paimai-e-wahshat se tang be-ufaqi wusat-e-sahra ki hai hai wahi maujud jo hai didani rae yahi dida-e-bina ki hai ghur rahi hai jise pyasi nazar shakl wo mai ki nahin mina ki hai dil-kashi-e-pech-o-kham-e-pairahan den kham-o-pech-e-sarapa ki hai zulf-e-pareshan ke talawwun mein bhi khubi-e-tamkin rukh-e-zeba ki hai mujh se wo hai mujh se ziyaada qarib khwahish-e-qurb us se ziyaada ki hai yun to kinayon ka bhi aadi hai dar dil ki hawas is ke alawa ki hai naqsh mein nuqton ke siwa kuchh nahin shakl-gari shauq-e-tamasha ki hai sabt 'muhib' us lab-e-jaan-bakhsh par tishna-labi meri tamanna ki hai