wo haqiqat mein ek lamha tha jis ka dauran ye zamana tha meri nazron se gir padi hai zamin kyun bulandi ne is ko dekha tha kaisi paiwand-kar hai fitrat muntashir ho ke bhi main yakja tha raushni hai kisi ke hone se warna buniyaad to andhera tha jab bhi dekha naya laga mujh ko kya tamasha jahan-e-kohna tha us ne mahdud kar diya hum ko koi hum se yahan zyaada tha jab ki suraj tha palne wala chand se kya lahu ka rishta tha mar gaya jo bhi us ke bare mein dhyan padta nahin ki zinda tha yahin paida yahin jawan hua us ke lab par kahan ka qissa tha koi gunjaan tha koi viran koi jangal kisi mein sahra tha umr sari wo nind mein bola chand lamhon ko koi jaga tha kahin jaane ki sab ne baaten kin kaise aate hain kaun bola tha sari uljhan usi se paida hui wo jo wahid hai be-tahasha tha daudte phir rahe the sare log jab ki un ko yahin pe rahna tha tujh ko lana hisar mein apne mera adna sa ek karishma tha farq gahrai aur pasti mein kisi bulandi se dekh paya tha us ki tafsil mein tha sargardan zehn mein mukhtasar sa khaka tha pas aa kar use hua malum main akela nahin tha tanha tha kitne fisad the jagne wale kitne logon ko hosh aaya tha kis ko ibnus-sabil kahte 'malal' nae raston ka kaun beta tha