phaila ajab ghubar hai aaina-gah mein mushkil hai khud ko dhundhna aks-e-tabah mein jal-bujh chuka hai khwahish-e-nakaam se wajud parchhain phir rahi hai makan-e-siyah mein main wo ajal-nasib ki qatil hun apna-ap hota hun roz qatl kisi qatl-gah mein rakkha gaya hun izzat-o-tauqir ka asir bandha gaya hai sar ko ghurur-e-kulah mein halkan mein nahin teri khatir sar-e-hujum sab mar rahe hain hasrat-e-yak-do-nigah mein