nairangi-e-wahshat ki dhanak dekh rahe hain tute hue tare ki chamak dekh rahe hain is aaina-khana-numa aalam se nikal kar kuchh log pas-e-baam-e-falak dekh rahe hain dil-galiyon mein baithe hue khwabida musafir is shahr-e-tamanna ki sadak dekh rahe hain ginwaenge buniyaad ki kamiyan bhi abhi hum diwaron pe manqush darak dekh rahe hain ek bud ko phir hast banane pe tula hai hairat se hum is dil ki sanak dekh rahe hain duniya ne jise qabr kaha hai hum usi mein ek husn-e-mujassam ki jhalak dekh rahe hain hum gosh-bar-awaz-e-adam log hain 'jaani' aawaz-e-khamoshi ki khanak dekh rahe hain