kuchh apni baat kaho kuchh meri suno mat so ye raat phir nahin aane ki dosto mat so kise khabar ki saba kya payam le aae sada dilon ke dariche khule rakho mat so bujhin jo shamen to raushan karo dilon ke charagh na bujhne wale sitaron ka sath do mat so jo sun sako to suno tishna-ruh ki fariyaad misal-e-saghar mai-e-daur mein raho mat so khirad ka kahna hai so jao wo na aaega pukar dil ki yunhi jagte raho mat so na so saken jo hum aawargan-e-kucha-e-shauq to tum bhi shahr ki shab-tab mah-washo mat so ye jalti-bujhti si yaadon ki kahkashan 'ishqi' bikhar na jae ghazal hi koi kaho mat so