mariz-e-ishq ki juz-marg duniya mein dawa kyun ho agar jaan ho aziz apni to jaanan par fida kyun ho uthe jo aag sine se daba dun us ko ashkon se shab-e-hijran mein nala se mera lab aashna kyun ho milo khalwat mein aur do tum mujhe dars-e-shakebai karam tum mein na ho to dil mera sabr-azma kyun ho chale jab tak zaban jari ho us par dastan-e-gham tawanai tere bimar ki sarf-e-dua kyun ho bhala tu aur ghar aae mere kyun-kar yaqin kar lun takhayyul kyun na ho mera teri aawaz-e-pa kyun ho agar bakht-e-rasa ne rahbari ki teri khalwat tak to phir dast-e-tamanna rehn-e-daman-e-qaba kyun ho mere khun aur hina mein der se baham raqabat hai na ho gar rang-e-khun pa mein to phir rang-e-hina kyun ho qayamat ek din aai hai is mein shak nahin 'shaida' khada ho bazm se jab wo qayamat phir bapa kyun ho