mere labon pe aaj qayamat ka waqt hai neze pe sar hai aur tilawat ka waqt hai wajh-e-shikast-e-jang ki taftish phir kabhi pahle sipahiyon ki ayaadat ka waqt hai jugnu bhi ghar se niklen sitare bhi aaen sath mitti ke ek diye pe musibat ka waqt hai suraj jala raha hai gunahon ki dhup mein dariya bata raha hai nadamat ka waqt hai hone lagi hai tang mere jism par ye khak yani ki ab zamin se hijrat ka waqt hai sabze bhi jal chuke hain parinde bhi ud gae aisa mere makan pe ghurbat ka waqt hai main ja raha hun apna sukhan bechne 'salim' yaro khata muaf tijarat ka waqt hai