kuchh bhi na kahna kuchh bhi na sunna lafz mein lafz utarne dena mitti ka ye pyala apne aab-e-hayat se bharne dena main bhi mahz ek jism nahin hun tum bhi mahz ek ruh nahin ho jism-o-ruh ke aks ko un ke aaine mein utarne dena apne jism ke aaine se har khaki chilman ko hata kar samne baithe rahna mere ruh ko meri sanwarne dena sirf hawa-e-mohabbat hun main aaunga aur guzar jaunga bas itna karna mujh ko apne andar se guzarne dena aur kisi sahil par ja kar ubharunga ek aur badan mein mitti chhod raha hun main mujh ko dariya mein utarne dena tez hawa-e-taghaful ho tum main hun gard-o-ghubar-e-mohabbat khub maza aaega mujh ko samne apne bikharne dena is 'ehsas' ko mat uljhana kisi bhi bahs-e-fana-o-baqa mein jina chahe to jine dena marna chahe to marne dena