rukhsat hua to aankh mila kar nahin gaya wo kyun gaya hai ye bhi bata kar nahin gaya wo yun gaya ki baad-e-saba yaad aa gai ehsas tak bhi hum ko dila kar nahin gaya yun lag raha hai jaise abhi laut aaega jate hue charagh bujha kar nahin gaya bas ek lakir khinch gaya darmiyan mein diwar raste mein bana kar nahin gaya shayad wo mil hi jae magar justuju hai shart wo apne naqsh-e-pa to mita kar nahin gaya ghar mein hai aaj tak wahi khushbu basi hui lagta hai yun ki jaise wo aa kar nahin gaya tab tak to phul jaisi hi taza thi us ki yaad jab tak wo pattiyon ko juda kar nahin gaya rahne diya na us ne kisi kaam ka mujhe aur khak mein bhi mujh ko mila kar nahin gaya waisi hi be-talab hai abhi meri zindagi wo khar-o-khas mein aag laga kar nahin gaya 'shahzad' ye gila hi raha us ki zat se jate hue wo koi gila kar nahin gaya