kuchh bhi nahin hai khak ke aazar se pare dekha hai main ne bar-ha us par se pare ek naqsh khinchta hai mujhe khwab se udhar ek daera bana hua parkar se pare ya-rab nigah-e-shauq ko wusat nasib ho meri nazar pe bar hai diwar se pare tum khud hi dastan badalte ho dafatan hum warna dekhte nahin kirdar se pare kuchh lafz jin ko ab koi tartib chahiye guzre hue khayal ke izhaar se pare 'azar' ab un ka nam-o-nishan mil nahin raha udta hua ghubar hai kohsar se pare