teri ulfat ko jaga rakkha hai dil mein tufan utha rakkha hai ranj-o-rahat hain gile-shikwe hain kaisa ghar-bar saja rakkha hai us ka ehsan ki us ke dil ne fasla hum se sada rakkha hai waqt kyun ret sa phisla jae hum ne mutthi mein daba rakkha hai samne rahte hue bhi us ne khud ko parde mein chhupa rakkha hai shad har pal hain ki hum ne dil ko khugar-e-dard bana rakkha hai khar hai jis ki zaban us ne bhi ghar ko phulon se saja rakkha hai koi jumbish pas-e-parda ho kabhi sar tere dar se laga rakkha hai wo bhi kya dil hai ki jis mein 'anjum' nam rakkha na pata rakkha hai