kuchh bhi nahin kahin nahin khwab ke ikhtiyar mein raat guzar di gai subh ke intizar mein bab-e-ata ke samne ahl-e-kamal ka hujum jin ko tha sar-kashi pe naz wo bhi isi qatar mein jaise fasad-e-khun se jild-e-badan pe dagh-e-bars dil ki siyahiyan bhi hain daman-e-dagh-dar mein waqt ki thokaron mein hai uqda-kushaiyon ko zoam kaisi ulajh rahi hai dor nakhun-e-hoshyar mein aaega aaega wo din ho ke rahega sab hisab waqt bhi intizar mein khalq bhi intizar mein jaisi lagi thi dil mein aag waisi ghazal bani nahin lafz thahar nahin sake dard ki tez dhaar mein