kuchh bhi nahin raha hai ahd-e-wafa ki tha

kuchh bhi nahin raha hai ahd-e-wafa ki tha
dilli jo shahr-e-dil tha jo kuchh bhi tha ki tha

sabit nahin kisi se ek zawiya ki tha
sabit ki har kami se sabit hua ki tha

sab ko mila masiha sab se nahin mila
kuchh ka tadap ke marna ek faisla ki tha

jab bhi wahi khuda tha ab bhi wahi khuda
ek tha khuda nahin tha ek hai khuda ki tha

jate hain sab falak ko aae falak se kuchh
ek silsila hai jari ek silsila ki tha

aankhen bhi raqs mein thin rumi bhi raqs mein
bas raqs rah gaya hai ek falsafa ki tha

tera sarab-chehra sahra-e-waqt mein
lagta raha nahin hai dikhta raha ki tha

maddham si raushni thi halka sa chand tha
dil ko sukun 'amir' aansu baha ki tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close