kunDi baja ke is liye bhaga nahin hun main

kundi baja ke is liye bhaga nahin hun main
dikhta nahin kisi ko to socha nahin hun main

pichhle baras ki baat hai kuchh log aae the
dastak suni to kamre se chikha nahin hun main

jaane main kis ka jism hun aur kis ke pas hun
dhunda hai khud ko har jagah milta nahin hun main

le jao mujh ko mujh se magar ek baat hai
lambe safar ke waste achchha nahin hun main

saya hun aur din dhale bujh-wujh gaya hun kya
dekha hai aaj aaina dikhta nahin hun main

nakhun chubho ke bhanp lo mujh mein mera wajud
kitna hun apne-ap mein kitna nahin hun main

mumkin hai ye malal tumhein bhi fareb de
jaisa mujhe banaya tha waisa nahin hun main

ek ek dukan se puchha ki main dastiyab hun
inkar sun ke bujh gaya achchha nahin hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close