na un ko KHair se matlab hai aur na shar se gharaz

na un ko khair se matlab hai aur na shar se gharaz
koi jiye ki mare randiyon ko zar se gharaz

baghair kaam liye main kabhi na manunga
nahin hai mujh ko tumhaari hachar-machar se gharaz

sunen wo ya na sunen ye bake hi jata hai
raqib-e-yawa-e-go ko hai apni tar se gharaz

jo hain amir kushada makan hain un ko pasand
gharib hun mujhe rahti hai tang ghar se gharaz

raqib se hai sarokar mujh se matlab kya
wo khar-dimagh hain un ko hai gidi khar se gharaz

wo zar bhi khinchte hain zor bhi ghatate hain
sada hai un ko 'inayat' mere zarar se gharaz


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close