mujh ko doli mein bitha dar ke hawale kar de meri man mujh ko muqaddar ke hawale kar de ab ye ehsas ki duniya mein koi mera nahin jaane kab mujh ko samundar ke hawale kar de us qabile se nahin main ki jo apni ladki jang ke khauf se lashkar ke hawale kar de ghumne phirne ka haq rakhti hai phir bhi titli kis liye khud ko gul-e-tar ke hawale kar de khali kamre mein pade rahne se behtar hoga ai 'qamar' khud ko bhare ghar ke hawale kar de