main apne gird lakiren bichhae baitha hun sarae-dard mein dera jamae baitha hun 'nabil' ret mein sikke talash karte hue main apni puri jawani ganwae baitha hun ye shahr kya hai nikalta nahin koi ghar se kai dinon se tamasha lagae baitha hun jo log dard ke gahak hain samne aaen har ek ghaw se parda uthae baitha hun bahut talab thi mujhe raushni mein aane ki so yun hua hai ki aankhen jalae baitha hun ye dekho chand, wo suraj, wo us taraf tare ek aasman zamin par sajae baitha hun na jaane kaun sa aalam hai ye aziz-'nabil' main regzar mein kashti banae baitha hun