qissa un dinon ka hai jab hamein mohabbat thi khwab ek muamma tha nind ek aziyyat thi kya ajib rishta tha aag aur pani ka main barasta baadal tha aur wo qayamat thi hum ki ek duje par is tarah se lazim the mujh ko us ka nashsha tha us ko meri aadat thi hum bhatakte phirte the tishnagi ke sahra mein un labon pe amrit tha aur mujhe ijazat thi raat mein musafir tha gul-badan ke raston ka ang ang khushbu thi kya hasin masafat thi hum gunah-gar-e-shab rokne se rukte kab umr ka taqaza tha waqt ki zarurat thi hum 'samir' kho baithe maslahat ki rahon mein wo jo ek talluq tha wo jo ek nisbat thi