shitabi apne diwane ko kar band musalsal zulf se kar ya nazar-band tera shaida na thahra jaan sa ek dam gaya le coat mein lohe ke kar band jo tujh par aur ko tarjih de dekh bas us andhe ki aankhen hain magar band tadapta be-qarari aah-o-zari huin ye haalaten kyunkar satar-band hai shoala aag ka har aah ke sath ye dil hai ya hai sine mein sharar band piyare dar khuda se apni aankhen hamari tarf se itni na kar band tujhe khurshid-ru, ji bhar ke dekhun hui jati hai meri aankh par band azizo misr-e-dil ki rah hai dur rah-e-zulmat mein haiga ye dar band jo chahe do jahan ka kaam lega hai bandha jis ne himmat ka qamar-band raho tuk 'azfari' ab chashm khole rahengi aankh phir sham-o-sahar band