kuchh din to malal us ka haq tha bichhda to khayal us ka haq tha wo raat bhi din si taza rakhta shabnam ka jamal us ka haq tha wo tarz-e-bayan mein chandni tha taron se visal us ka haq tha tha us ka khiram mauj-e-dariya lahron ka jalal us ka haq tha barish ka badan tha us ka hansna ghunche ka khisal us ka haq tha rakhta tha sambhaal shisha-e-jaan tajsim-e-kamal us ka haq tha baadal ki misal us ki khu thi tabir-e-hilal us ka haq tha ujla tha chambeliyon ke jaisa yusuf sa jamal us ka haq tha