na ehtijaj na aawargi mein dekh mujhe jo ho sake to meri raushni mein dekh mujhe gul-e-hawas bhi hai shakh-e-visal ka hissa charagh-e-lala ki taza kali mein dekh mujhe wazahaton se tu kuchh bhi samajh na paega kabhi ghubar kabhi tirgi mein dekh mujhe faza-e-yaad mein tabdiliyan nahin hotin jadid shakhs purani gali mein dekh mujhe sitara tab zamane ki yaadgar hun main kisi malal na sharmindagi mein dekh mujhe main ek bund sar-e-nok-e-khar-e-sahra hun tulu-e-subh-e-dam-e-akhiri mein dekh mujhe mere bayan ke jah-o-jalal par mat ja mere khayal ki pas-mandagi mein dekh mujhe