main ladkhadaya to mujh ko gale lagane lage gunahgar bhi meri hansi udane lage meri qadim riwayat ko aazmane lage mukhalifin bhi ab kashtiyan jalane lage dil-e-haris se tamir ki hawas na gai wo sath-e-ab pe kaghaz ka ghar banane lage kisi ki rah-e-munawwar mein moajaza ye hua hamare naqsh-e-kaf-e-pa bhi jagmagane lage na jaane kis ka hamein intizar rahne laga ki taq-e-dil pe diya roz hum jalane lage hue kuchh itne mohazzab ki sans ghutne lagi junun-pasand gale tak batan lagane lage jinhon ne kanton pe chalna hamein sikhaya tha hamari rah mein wo phul ab bichhane lage shurua ho gaya aankhon mein jashn-e-khush-khwabi hui jo raat to har samt shamiyane lage