kuchh faede bhi hote hain ujDe makan ke

kuchh faede bhi hote hain ujde makan ke
alfaz is mein gunjte hain raftagan ke

ai chand is mein teri bhi sazish zarur hai
tare kidhar gae hain mere aasman ke

ud jaega yaqin ke pinjre ko tod kar
thode se par nikalne do wahm-o-guman ke

ghazlen meri bacha lo bure waqt ke liye
alfaz bech dalna mujh be-zaban ke

karbal ki ret dekh ke itne the mutmain
jaise ki muntazir hon isi imtihan ke

ek bar mere lafzon ko padh kar zaban se
kirdar zinda kar do meri dastan ke

itna asar to rakhti hai man ki dua 'ali'
dekhe hain main ne khulte kiwad aasman ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close