zabt ke qafile phir bhi rahon mein the

zabt ke qafile phir bhi rahon mein the
khwab aankhon mein tha aap banhon mein the

koi bichhda to phir hasbunallah kaha
gham ke mare teri bargahon mein the

jhelta kis tarah hakim-e-shahr gham
tir ashkon mein the tanz aahon mein the

is liye bhi nahin jit paya kabhi
mat ke mashware khair-khwahon mein the

ishq ke dar pe wari gain azmaten
kitne daman-darida bhi shahon mein the

ya-khuda teri jannat to apni jagah
kuchh maze bhi to the jo gunahon mein the

man ne jate hue tha kaha khair ho
phir jahan bhi gae hum panahon mein the

dekhna un ka 'eajaz' hai warna hum
raushni mein khade ru-siyahon mein the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close