kuchh faisla to ho ki kidhar jaana chahiye pani ko ab to sar se guzar jaana chahiye nashtar-ba-dast shahr se chaaragari ki lau ai zakhm-e-be-kasi tujhe bhar jaana chahiye har bar ediyon pe gira hai mera lahu maqtal mein ab ba-tarz-e-digar jaana chahiye kya chal sakenge jin ka faqat masala ye hai jaane se pahle rakht-e-safar jaana chahiye sara jwar-bhata mere dil mein hai magar ilzam ye bhi chand ke sar jaana chahiye jab bhi gae azab-e-dar-o-baam tha wahi aakhir ko kitni der se ghar jaana chahiye tohmat laga ke man pe jo dushman se dad le aise sukhan-farosh ko mar jaana chahiye