sitara-war jale phir bujha diye gae hum phir is ke baad nazar se gira diye gae hum aziz the hamin nau-waridan-e-kucha-e-ishq so pichhe hatte gae rasta diye gae hum shikast o fath ke sab faisle hue kahin aur misal-e-mal-e-ghanimat luta diye gae hum zamin farsh-e-gul-o-lala se sajai gai phir is zamin ki amanat bana diye gae hum duaen yaad kara di gai thin bachpan mein so zakhm khate rahe aur dua diye gae hum