un ke wadon ka haal kya kahiye hafta-o-mah-o-sal kya kahiye aarzu-e-visal kya kahiye zehn ka intiqal kya kahiye husn ko main khuda samajhta hun hae mera khayal kya kahiye wahi subh-o-masa wahi shab-o-roz zindagi hai wabaal kya kahiye un se koi jawab ban na pada mera tarz-e-sawal kya kahiye siskiyan ek mariz-e-gham ki hae aap ki dekh-bhaal kya kahiye aap ke lutf mein sitam pinhan ho gae hum nihaal kya kahiye aage bas aur kya hai nam-e-khuda aap hain be-misal kya kahiye aarzuon ka hasraton ka lahu zindagi ka maal kya kahiye