tez-rau pani ki tikhi dhaar par bahte hue kaun jaane kab milen is bar ke bichhde hue apne jismon ko bhi shayad kho chuka hai aadmi raston mein phir rahe hain pairahan bikhre hue ab ye aalam hai ki meri zindagi ke raat din subh milte hain mujhe akhbar mein lipte hue an-ginat chehron ka bahr-e-be-karan hai aur main muddaten guzrin hain apne-ap ko dekhe hue kin ruton ki aarzu shadab rakhti hai inhen ye khizan ki sham aur zakhmon ke ban mahke hue kat mein bijli se tikhi baal se barik-tar zindagi guzri hai is talwar par chalte hue