kuchh is ada se safiran-e-nau-bahaar chale salib dosh pe rakh kar gunahgar chale nikal ke ku-e-mohabbat se soe dar chale hamare sath na kyun mausam-e-bahaar chale tumhaari yaad sahi qurbat-e-badan na sahi kisi tarah to mohabbat ka karobar chale hamare dam se gham-e-zindagi ki azmat hai hamare sath sitam-ha-e-rozgar chale isi ka nam bahaaran hai kuchh kaho yaro chaman mein hanste hue aae sogwar chale hazar hum pe kharabi guzar gai lekin lahu se apne teri anjuman sanwar chale ek ek sans hain sadiyon ka dard shamil hai tumhaari bazm mein wo zindagi guzar chale