wo shakhs phir kahani ka unwan ban gaya main dard likh rahi thi wo diwan ban gaya gardish mein chaaron samt rahe us ke lafz lafz kuchh yun hua ke aaj wo mehman ban gaya khush thi main us ko bakhsh ke kirdar phir naya wo meri dil-lagi ka bhi saman ban gaya mahfil uruj par thi ki nazren ulajh padin sab jaan-bujh ke bhi wo anjaan ban gaya jab us ka ishq khun ki dhaaron mein hal hua mere liye to lulu-o-marjaan ban gaya itne taghayyuraat ke allah ki panah har karb mere ishq ka tawan ban gaya lazzat to aankh ne bhi uthai thi sari raat ek khwab meri ruh ka sohan ban gaya kuchh aur ramz mujh pe kiye jaen aashkar us ki taraf se ye naya farman ban gaya 'asra' qadam sambhaal ke rakhna zamin par shaitan kah raha hai ki rahman ban gaya