kya kya diye hain zist ne gham kuchh na puchhiye kitne kiye gae hain karam kuchh na puchhiye aankhon mein ashk lab pe tabassum jigar mein soz kaise rakha hai gham ka bharam kuchh na puchhiye ek paikar-e-hasin ki parastish ke waste kya kya tarashe hum ne sanam kuchh na puchhiye is daur-e-ibtila mein ba-in-aql-o-agahi bechaargi-e-ahl-e-qalam kuchh na puchhiye pahuncha kahan kahan main khuda ki talash mein ai nazirin-e-dair-o-haram kuchh na puchhiye in donon manzilon se zara sochta hun main mujh se mera wajud-o-adam kuchh na puchhiye is mukhtasar si zist mein 'basit-azim' ne kya kya uthae bar-e-alam kuchh na puchhiye