umid koi nahin aasra bhi koi nahin dawa bhi koi nahin ab dua bhi koi nahin kuchh itne ho gae bezar apne haal se log ki apne haal pe ab sochta bhi koi nahin batae kaun wahan kya guzar gai kis par ki is dayar se aaya gaya bhi koi nahin hisar-e-jaan ke wo us par hi to rahta hai faqat hai shart-e-safar fasla bhi koi nahin guzar hua jo kabhi us se mil liye warna sawal us se kuja muddaa bhi koi nahin mere sukhan ne mujhe ru-shanas sab se kiya wagarna chehre se pahchanta bhi koi nahin hamin ne khud pe kiye band sare dar 'mohsin' nikalna chahen to ab rasta bhi koi nahin