kuchh khabar lai to hai baad-e-bahaari us ki shayad is rah se guzregi sawari us ki mera chehra hai faqat us ki nazar se raushan aur baqi jo hai mazmun-nigari us ki aankh utha kar jo rawadar na tha dekhne ka wahi dil karta hai ab minnat o zari us ki raat ki aankh mein hain halke gulabi dore nind se palken hui jati hain bhaari us ki us ke darbar mein hazir hua ye dil aur phir dekhne wali thi kuchh kar-guzari us ki aaj to us pe thaharti hi na thi aankh zara us ke jate hi nazar main ne utari us ki arsa-e-khwab mein rahna hai ki laut aana hai faisla karne ki is bar hai bari us ki