us bazm mein kya koi sune rae hamari ye baat ye auqat kahan hae hamari hum chahte kya hain nahin malum kisi ko kis tarah tabiat koi bahlae hamari guzri hai jawani badi be-rah-rawi mein ai kash zaifi bhi guzar jae hamari is shahr mein rahna hai bayaban mein rahna surat nahin pahchante ham-sae hamari ye ghar ye gali zehn mein kar lijiye mahfuz mumkin hai kabhi aap ko yaad aae hamari