kuchh KHak-e-rahguzar the kuchh dagh-dar the

kuchh khak-e-rahguzar the kuchh dagh-dar the
mere chaman ke phul shahid-e-bahaar the

manzil kadi thi pesh-e-nazar aur ham-safar
khush the ki zer-e-saya-e-diwar-e-yar the

ima hi tha ye chashm-e-dil-awez-e-yar ka
hum ramz-khwan-e-gardish-e-lail-o-nahaar the

darte na the daraazi-e-sham-e-firaq se
hum raaz-dar-e-silsila-e-zulf-e-yar the

hum jaante the khun-e-shahidan ka majra
hum nukta-dan-e-ghaza-e-ru-e-nigar the

phulon se ham-kalam the kanton ke ham-zaban
dekho hamein ki mahram-e-fasl-e-bahaar the

ye turfa majra hai ki udti thi dil mein khak
phir bhi yahan nishan-e-kaf-e-pa-e-yar the

karta hai ikhtiyar gham-e-yar bhi ye rup
hum shad the ki rehn-e-gham-e-rozgar the

imsal mauj-e-gul hi na thi zinat-e-chaman
sailab-e-khun bhi ghaza-e-ru-e-bahaar the

aaya koi chaman mein sunahri qafas liye
kuchh naghma-gar tuyur sar-e-shakh-sar the

hum wahshiyon ne sehn-e-gulistan se ai khizan
tinke bhi chun liye ki sharik-e-bahaar the

'abid' zalil-o-khwar thi rasm-e-nawa-gari
naghme hamein bhi nok-e-zaban be-shumar the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close