kuchh lahu to farozan hamara bhi hai shahr par itna ehsan hamara bhi hai dekhna bakhiya-e-jama-e-waqt mein ek tar-e-gareban hamara bhi hai haq-bayanon ki khatir hai wusat badi kuchh yahi khwab-e-zindan hamara bhi hai wo jo fard-e-wafa mein qalam-zad hue nam un mein numayan hamara bhi hai har kade waqt se sahl guzre magar in dinon dil pareshan hamara bhi hai kuchh to dhab ho ki ab apni naslen kahen ye dayar-e-buzurgan hamara bhi hai jab se jaga hai ghazlon mein shahr-e-nawa rutba-dan har sukhan-dan hamara bhi hai