teri bewafai ke baad bhi mere dil ka pyar nahin gaya

teri bewafai ke baad bhi mere dil ka pyar nahin gaya
shab-e-intizar guzar gai gham-e-intizar nahin gaya

main samundaron ka nasib tha mera dubna bhi ajib tha
mere dil ne mujh se bahut kaha main utar ke par nahin gaya

tu mera sharik-e-safar nahin mere dil se dur magar nahin
teri mamlikat na rahi magar tera ikhtiyar nahin gaya

use itna socha hai roz o shab ki sawal-e-did raha na ab
wo gali bhi zer-e-tawaf hai jahan ek bar nahin gaya

kabhi koi wada wafa na kar yunhi roz roz bahana kar
tu fareb de ke chala gaya tera e'tibar nahin gaya

mujhe us ke zarf ki kya khabar kahin aur ja ke hanse agar
mere haal-e-dil pe to roe bin koi gham-gusar nahin gaya

use kya khabar ki shikastagi hai junun ki manzil-e-agahi
jo mata-e-shisha-e-dil liye sar-e-ku-e-yar nahin gaya

meri zindagi meri shairi kisi gham ki den hai 'jafari'
dil o jaan ka qarz chuka diya main gunahgar nahin gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close