kuchh mohabbat mein ajab shewa-e-dil-dar raha mujh se inkar raha ghair se iqrar raha kuchh sarokar nahin jaan rahe ya na rahe na raha un se to phir kis se sarokar raha shab-e-khalwat wahi hujjat wahi takrar rahi wahi qissa wahi ghussa wahi inkar raha talib-e-did ko zalim ne ye likkha khat mein ab qayamat pe mera wada-e-didar raha haal-e-dil bazm mein us shokh se hum kah na sake lab-e-khamosh ki surat lab-e-izhaar raha kuchh khabar hai tujhe o chain se sone wale raat bhar kaun teri yaad mein bedar raha ek nazar naza mein dekhi thi kisi ki surat muddaton qabr mein bechain dil-e-zar raha dil hamara tha hamara tha hamara lekin un ke qabu mein raha un ka taraf-dar raha umr hans-khel ke is tarah guzari ai 'hijr' dost ka dost raha yar ka main yar raha