shab-e-firaq kuchh aisa khayal-e-yar raha ki raat bhar dil-e-gham-dida be-qarar raha kahegi hashr ke din us ki rahmat-e-be-had ki be-gunah se achchha gunah-gar raha tera khayal bhi kis darja shokh hai ai shokh ki jitni der raha dil mein be-qarar raha sharab-e-ishq faqat ek zara si chakkhi thi bada surur ghuta muddaton khumar raha unhen gharaz unhen matlab wo haal kyun puchhen bala se un ki agar koi be-qarar raha tumhein kabhi na kabhi mar ke bhi dikha dunga jo zindagi ne wafa ki jo barqarar raha adaen dekh chuke aaine mein aap apni bataiye to sahi dil par ikhtiyar raha shab-e-visal bade lutf se kati ai 'hijr' tamam raat kisi ke gale ka haar raha